Available in: Bengali   French   English   Urdu   Arabic   Dutch   Go to media page

Aao aur muqaddas `ilm haasil karo!

Sultan al-Awliya

Mawlana Shaykh Nazim

3 December 2009 Lefke, Cyprus

(Mawlana Shaykh kharay hotay hain.)

Aey logon, apnay Rabb Allah ta`ala kay liay kharay ho. Tamam makhlooq Uss ki Bargaah-e-Rabbani main khari hui hai. Aey logon, apni buland tareen tazeem aur hamd apnay Rabb kay naam karo, humara khaaliq. Agar Wo takhleeq na karay, tu koi bhi na wujood main naa aa sakay.

Allahu akbar, Allahu akbar, la ilaaha illa-Llah, Allahu akbar, Allahu akbar, wa lillahi 'l-hamd!

Allahu akbar Kabira wa 'l-hamdulillahi katheera wa subhanallahi 'l-`azheem wa bi hamdihi 'l-kareem bukratan wa aseela.

Aey Allah, Apni Bargaah main mu`azziz tareen banday ki khatir, humain maaf farma dain. Hum Aap ki rehmat ka sawal kartay hain, Aey humaray Rabb. Tamam makhlooq main say buland tareen tazeem Sayyidina Muhammad (s) ko ataa karain. Unn ko aur bhi ziyada shaan aur hamd say nawazain.

Madad yaa Sayyidee aur hum kehtay hain a`oodhu billahi min ash-Shaytaani 'r-rajeem. Bismillahi 'r-Rahmaani 'r-Raheem. Samajhnay ki koshish karain kay: a`oodhu billahi min ash-Shaytaani 'r-rajeem ka kia matlab hai. Bismillahi 'r-Rahmaani 'r-Raheem ki taqat ko jannay ki koshish karain.Yeh asmani, sarkaari zabaan hai jo Khatim-un-Nabiyyeen Sayyidina Muhammad (s) ko ataa ki gaee thi. Wo Badshah hain, Sultan hain aur koi bhi Rabb ki bargaah main unn ka maqam aur unn ka ikraam nahin hasil kar sakta. Sultanat kay liay sultan ka hona lazim hai. Koi bhi hukoomat haakim kay baghair na-mumkin hai. Aey logon, as-salaamu ` alaykum, yeh aap kay liay sharf hai; kay aap sab ko, as-salaamu ` alaykum say mukhatib kia ja raha hai. Yeh buland tareen maqam hai jo insaan ko asmani darajaat say ataa kia ja sakta hai, kay uss ko Allah ta`ala kay muqaddas naam say mukhatib kia ja’ey. Wo as-Salaam hai, Jalla Jalaaluhu.

As-Salaam say murad yeh hai kay koi bhi shakhs jo qubool karta hai aur apnay Khaaliq say sawaal karta hai, Uss kay muqaddas naam as-Salaam kay waseelay say, wo zaroor salaamti main rahay ga, duniya main bhi aur akhirat main bhi. As-salaam, nihaayat mu’attabar khitab hai, Asmanon say Bani Adam ko. Iss muqaddas ism ko istimaal karain."Good morning", "good evening", "gunaydin" kehna chor dain. Doosri quamon kay log, Yunani (Greeks) apni zabaan main "kalimeras" kehtay hain. Wo kuch alfaaz kehtay hain, laikin wo sab masnooi alfaaz hain. Unn main koi taqat nahin. German log kia kehtay hain, "guten morgen"? Italy kay log kia kehtay hain, "bon giorno"?

Iss baat say Shaytan logon ko sikha raha hai, misaal kay taur par aik plastic ki haddi (bone) hai. Uss main kuch nahin, wo sirf khaali hai. Wo iss ko salaam kay taur par istimaal kartay hain. Haan, yeh bhi aik salaam hai, laikin Asmani salaam taqat ya tawanaee ya noor say bharpoor hai. Agar aap is ko istimaal karain, tu aap aik zarray (atom) ko bhi apna hathiyar bana saktay hain, aur uss main itni taqat hai kay aap iss say bahut tabaahi macha saktay hain. Wo khaali nahin hai. Salaam main bhi aisee hi Asmani taqat hai. Jab aap as-salaamu ` alaykum kehtay hain, tu yeh Asmanon say aap kay liay aik inaayat hai. Asmanon main zinda hastiyan rehti hain. Wahan sab kuch zinda hai. Koi bhi shay wahan soi hui, ya ghaafil ya murda nahin hai. Asmani darajaat main koi maut nahin, nahin. Khatam. Maut sirf iss sayyaray kay liay hai; aap kay masnooi wujood ko aap say juda karnay kay liay aur aap ko haqeeqi zindaqi kay noor aur taqat faraaham karnay kay liay. Wo aap ko yeh ataa karti hai.

Kullu man `alayha faan – zameen par jitnay hain sab ko fanaa hai, (55:26), yeh Quraan Kareem kay muqaddas alfaaz hain. Aap sab murda hain. Palak jhapaktay main aap aatay hain aur chalay jatay hain. Yeh iss zameen ki asal soorat-e-haal hai. Jab aap iss ko chor kar “oopar” chalay jaein gay, tu wahan aap ko abadiyat, hamesha ki zindagi milay gi. Abadiyat Asmanon kay liay hai, laikin aarzi, abadi ki zidd (opposite) hai. Iss zameen par tamam makhlooq ki koi haisiyat nahin; sab faani hain. Aik lamhay main wo janam laitay hain aur doosray lamhay wo oopar ya neechay puhanch jatay hain. Aey logon, “oopar” ki duniya tak puhanchnay ki koshish karo, “oopar” ki asmani hastiyon tak puhanchnay ki koshish karo. Ahmaq na bano; jahil na bano; ghaafil na bano. Aap apna wahid mauqa ganwa saktay hain. Sirf aik baar aap iss duniya main zindagi paatay hain, aur aap apna raasta khud muntakhib karsaktay hain, ya tu Asmanon ka ya pastiyon ka. “Oopar” kay darajaat; noor say bharpoor hain, aur unn ka noor barhta hi jata hai. Aik di’aey /charaagh (lamp) ki tarha nahin jis main aap ko tail daalna parta hai, aur phir wo khatam ho jata hai. Nahin, yeh noor wo noor hai jo kabhi khatam nahin hota.

Asmani hastiyan Asmani darajaat say hasil kar rahi hain. Wo yamuddoon hongay, Asmani Darajaat say ataa kar rahay hongay, bay-intiha inaayatain. Yeh matlab hai abadiyat ka. Abadiyat kabhi kam nahin hoti; humesha barhti rehti hai. Aey logon, iss liay aur bhi ziyada mangain, aur bhi ziyada. Aap ko ataa kia ja’ey ga. SubhaanAllah, humara Rabb bahut Shaan-o-shaukat wala hai. Wo uss salaam ko aik zinda zarray ki tarha bhaij raha hai. Ya tu aap ko oopar lay janay kay liay, ya neechay. Wo salaam, jis ki hum misaal bayan kar rahay hain, aik zarray (atom) ki tarha hai, aik zinda zarra (atom); wo humesha ki zindagi ka malik hai, kabhi zindagi nahin kho sakta. Humesha kay liay zinda hai, kyun kay yamuddoon, har zarray ko Asmanon say ataa kia ja raha hai. Har wo zarra jis ko hum salaam keh rahay hain. Salaam aik aisi zinda taqat hai. Uss ko Asmani rang main ranga gaya hai. Jab aap as-salaamu ` alaykum kehtay hain; jab aap wo salaam paish kartay hain, tu aap kay jismani wujood ko aik farhat aur taazgi milti hai. Aap aik tabdeeli mehsoos kartay hain, kyun kay aap kay paas aik khufiya taqat hai. Aap wo khufiya taqat apnay paas rakhtay hain, jis say aap harkat karnay kay qabil hotay hain. Jo koi bhi amal aap ko ataa kia

gaya hai, wo Asmanon say ataa kia gaya hai.

Wo aik zarra hai. Jo main kehna chah raha hoon, wo salaam ka aik zarra hai. As-salaamu ` alaykum, aap ko aisi taqat dayta hai jis ka aap andaza nahin kar saktay. Wo taqat, zinda taqat hai, kabhi na khatam honay wali, jo aap ko iss duniya ki tareeki say Asmani darajaat ki roshniyon tak lay jati hai. Aey logon, yeh wo kuch hai jo humain ataa kia gaya hai. Sirf Ambiya kay paas aisa khufiya `ilm hai, aur wo logon ko unn kay maqam, unn kay `uhday, unn kay waziyat, maqsad-e-hayaat say agaah karnay kay liay aa’ey thay.

Khabardaar, uss mauqay ko na kho’ein jo aap ko ataa kia gaya hai. Aap aik murda laash ki tarha ho ja’ein gay. Iss liay, as-salaam qabl al-kalaam. Tamam makhlooq kay mu`allim Sayyidina Muhammad (s) farma rahay thay, “Aey Logon, pehlay salaam karo, phir baat shuru karo.” Salaam say aap ko aik taqat milti hai. Salaam aap kay haqeeqi wujood ko aik aisi quwwat dayta hai, jis kay zariyay aap ma`arib, ma`arib yani uss tak puhanch saktay hain jis ki aap duniya aur Akhirat main arzoo kartay hain. Yahan kuch bhi nahin hai, laikin aap ko wo mangna chahiyay jo aap ki abadi (eternal) zindagi kay liay hai. Aap ko uss say barh kar aur kuch nahin milay ga. Abadi bannay ki koshish karain. Jab aap humesha ki zindagi paa ja’ein gay, tu aap ko aisi inaayaat milain gi, jis ko aap abhi nahin samajh saktay. Laikin uss ko hasil karnay ki koshish karain.

Jee, wo sab kay liay ailaan kar rahay hain. Main bhi aik saada insaan hoon, laikin wo mujh say kehelwa rahay hain. Main nahin jaanta laikin wo jaantay hain aur mujh say yeh mu`azhzham jaari karwa rahay hain, shaandar martabay, logon kay liay, kyun waqt ab qareeb aa raha hai, aur bhi qareeb, aur bhi qareeb. Humari zameen khatam ho ja’ey gi aur iss main jitnay bhi log hain, apni apni manzilon ya hudood tak puhanch ja’ein gay. Unn main say kuch log apna mauqa zayaa kar rahay hain aur wo kuch bhi nahin hasil kar pa’ein gay. Kuch log, aisi taqat ko paa lain gay kay wo humesha kay liay Abadiyat kay samandar main dakhil ho ja’ein gay. Wo uss main say kabhi bahar nahin niklain gay. Aap asal ka mutaliba nahin kartay. Aik baar jo Abadiyat kay samandaron main dakhil ho ja’ey wo kabhi bahar nahin nikalna chahta. Kabhi nahin. Unn ki asal zindagi Abadiyat kay samandaron main hi hai aur ab waqt khatam ho chuka hai. Allah ta`ala nay 104 Asmani paighamaat, ahkamaat aur hidayaat bhaijee thein, aur asmani kutub aur akhir main Quran Kareem. Yeh tamam asmani kitabain muqaddas `uloom kay sath nazil hoi thein. Wo ab yeh chahtay hain, humain asmani `ilm ki zaroorat hai. Wo `ilm jo Shaytan logon ko sikha raha hai, wo khatam ho chuka. Wo ganday naalon kay kachray ki tarha hai. Uss `ilm say koi fa’eda nahin hasil hoga, jab log iss zindagi say doosri zindagi main dakhil hongay.

Humain ab asmani `ilm ki zaroorat hai. Aey Logon! Aey Pope! Aey Bishop! Aey Yahoodi Paishwa (Chief Rabbi)! Aey Mazhabi Rehnuma! Aey Dalai Lama! Aap yeh jaantay hain ya nahin? Agar aap jaantay hain, tu logon ko agaah karain, unhain hukm dain: Aey Logon, apnay qeemti tareen wujood ko tum baykaar kamon main, masnooi aur gandi cheezon main bahut zaya kar chukay. Aey Logon, tumhain muqaddas `ilm hasil karnay kay liay takhleeq kia gaya hai. Humain ab muqaddas `ilm ki zaroorat hai. Humain muqaddas `ilm seekhnay ki koshish karni chahiyay. Agar hum aisa nahin karain gay, tu hum murda laash ki tarha ganday naalon main phaink di’ey ja’ein gay, choohon (rats) ki tarha. Aao aur seekho. Muqaddas `ilm ka sawal karo; wo tumhain oopar lay ja’ey ga, Asmanon kay 7 darajaat main parwaaz karnay liay. Aey Logon, ab tum bahut mast (drunk) reh chukay, whiskey, champagne, vodka, nabit (sharaab) kay nashay main mast. Cognac, whiskey, talky-walky, Johnny Walker na piyo. Khatam. Tum ganday naalon main daal diay jaao gay. Aao aur muqaddas `ilm seekhnay ki koshish karo.

Aey Logon, Mashrik say lay kar Maghrib tak, Shumal say lay kar Junoob tak. 72 qisam ki qaumain haim; tumhain apni ahmaqaana taalimi idaaray (universities, schools, academies) band kar dainay chahiyain. Tum ko unhain band kar dayna chahiyay aur aik naya warq kholna chahiyay, apnay nau-jawanon ki taleem kay liay. Unn ko muqaddas `ilm ki taleem-o-tarbiyat dainee chahiyay. Allah Allah, Allahu Akbar. Aey Logon, yeh zaroori hai, jo kuch bhi wo ataa kar rahay hain aaj ki raat. Aaj ki raat bahut muqaddas raat hain tamam qaumon kay liay. Aao aur iss raat kay taqaddus ko qubool karo aur aao aur iss Jummay ki raat kay maheenay ko qubool karo. Muqaddas raat aur muqaddas maheena. Kuch seekhnay ki koshish karo. Sab kuch chor do aur Allah ta`ala tum ko sab kuch ataa karay gay – tum iss kay baaray main nahin soch saktay na andaza kar saktay ho. Aey Logon, aao aur suno. Main umar raseeda hoon, main kuch bhi nahin, laikin wo mujh say tamam qaumon ko khitab karwa rahay hain. Baadshah, malka aur hakim (dictator), tum sab! Aao aur muqaddas `ilm seekho. Tum hifazat aur izzat say nawazay jao gay, iss zindagi main bhi aur Asmanon main Asal zindagi main bhi. Tum haqeeqi zindagi paa jao gay, abadi zindagi.

Allah humain maaf farma’ey. Yeh aik la-mahdud samandar hai. Iss liay, kitni raatain unhon nay meri zabaan say khitab karwaya, main nahin jaanta. Wo bolnay ka hukm daytay hain, tamam qaumon say khitab karnay ka. Mera nahin khayal kay koi humari guft-goo par koi aitiraaz kar sakta hai, ‘Aey Logon Asmani zabaan aur muqaddas zabaan seekhnay ki koshish karo. Iss say tum ko izzat, lutf, noor aur lazzat milay gi, duniya main bhi aur Akhirat main bhi. Humesha.’ Allah humain maaf farma’ey. Fatiha.

Tawbah yaa Rabbee, tawbah astaghfirullah.

Dome Dome Dome Dome

Dome Dome Dome Dome

Jinn kay paas hai, wo muqaddas `ilm ko hasil kar lain gay. Jab wo apni asal manzil tak puhanchain gay tu unn ka shaan-o-shaukat say istaqbaal (parade) kia ja’ey ga. Unn kay geet Asmani geet hain, meray gaanay ki tarha nahin.

Dome Dome Dome Dome

Dome Dome Dome Dome

Dome Dome Dome Dome

Dome Dome Dome Dome

Dome Dome Dome Dome

Dome Dome Dome Dome

Dome Dome Dome Dome

Dome Dome Dome Dome

Fatihah.

Allah Allah.

50... kitna? 38... 48 hoga... 38 masha Allah, main dekh raha hoon kay iss say ziyada hai. Aap 38 kaisay keh rahay hain?

Theek hai, itna kaafi hai... kaafi hai...

UA-984942-2